Selasa, 11 Maret 2008

!!*!! Aansoo..!!*!!






Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Nagma Bankar
Hum Se Her shaam Mili Hai Tera Chehra Bankar

Chaand Nikla Hai Teri Aankh K Aansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Bankar

Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talaash
So Raha Hai Meri Aankhon Mein Jo Sapna Bankar

Dil Ke Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Merey Honthon Pe Machalta Hai Jo Nagma Bankar

Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehrey Ki Chamak
Rooh Mein Phail Gaya Hai Woh Ujala Bankar

Mera Kya Haal Hai Yeh Aa key Kabhi dekh To Ley
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Huya Vada Bankar

Dhoop Mein Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Sey Jo Saath Chala Tha Mera Saya Bankar

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Nagma Banker
Hum Sey Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

*****************





Tidak ada komentar:

Posting Komentar